Saleem Faraz

use KHud ko badal lena gawara bhi nahin hota

Saleem Faraz

use ḳhud ko badal lenā gavāra bhī nahīñ hotā
hamārā aisī duniyā meñ guzāra bhī nahīñ hotā
hameñ is moḌ par le aate haiñ ye ḳhuun ke rishte
ki jiine ke alāva aur chāra bhī nahīñ hotā
ye saare chāñd sūraj un ke qadmoñ meñ hī rahte haiñ
hamāre haath meñ kyuuñ ek taara bhī nahīñ hotā
Dubo detīñ hameñ dariyā-e-māh-o-sāl kī maujeñ
is ik lamhe kā jo hāsil sahārā bhī nahīñ hotā
ta.ajjub hai ki ham akasr vahīñ par Duub jaate haiñ
jahāñ se duur āñkhoñ meñ kināra bhī nahīñ hotā
sabhī ko shahar apnā dilkash-o-dilchasp lagtā hai
agarche vo samarqañd-o-buḳhārā bhī nahīñ hotā
ye kin nā-āshnā logoñ kī bastī meñ chale aa.e
suḳhan kaisā kahīñ se ik ishāra bhī nahīñ hotā
muḳhālif mausam-e-dil hī nahīñ hotā masāfat meñ
muāfiq kuchh 'salīm' apnā sitāra bhī nahīñ hotā
Top Urdushayar.com