Qaus Siddiqui

laga raha hun har ek dar pe aaina bazar

Qaus Siddiqui

Muzaffarpur, Bihar, India

1946
lagā rahā huuñ har ik dar pe aa.inā bāzār
koī to dekhe sune daam boltā bāzār
sajā to ḳhuub hai ab ke nayā nayā bāzār
zamāna jaan to le kyā hai zā.iqa bāzār
parā.e jaan kī qīmat faqat nazāra nahīñ
ḳhudārā band ho har din kā hādsa bāzār
yahī to hotā hai shīshe ke kārobār kā hashr
ujaḌ gayā hai achānak harā-bharā bāzār
shab-e-siyāh se ḳhā.if hai yuuñ mirī dīvār
sajā ke baiThī hai āñgan meñ shaam kā bāzār
bas ik tabassum-e-dil se ḳharīd liije ise
jahāñ bhī jā.iye is jaañ kā hai khulā bāzār
phir apne shor kī qīmat samajh sakegā 'qaus'
na ḳhvāb dekh zarā jā Tahal ke aa bāzār
Top Urdushayar.com