Qaus Siddiqui

koi deta hai kisi ko bhi to kya deta hai

Qaus Siddiqui

Muzaffarpur, Bihar, India

1946
koī detā hai kisī ko bhī to kyā detā hai
dast-e-ehsān ko mīzān pe lā detā hai
koī to sañg-e-lab-e-rāh sā mūnis Thahre
raah kā moḌ jo chupke se batā detā hai
shahr-e-gum-gashta kā vo katba jo hai gard-ālūd
har musāfir use jiine kī duā detā hai
ye mirā ahd hai tāvīl-e-sukūnat de kar
ghar ke darvāze ko dīvār banā detā hai
'qaus' be-sūd nahīñ jaatā hai paanī kā lahū
ye Tapaktā hai to rañgīn fazā detā hai
Top Urdushayar.com