lauh-e-mahfūz tirā zer-o-zabar kaisā hai
ye ḳhat-e-bul-ajabī pesh-e-nazar kaisā hai
tū kahīñ aur basā hai to ye ghar kaisā hai
lā-makāñ vaale ye mehrāb ye dar kaisā hai
naqsh ubhrā bhī nahīñ thā ki miTāne baiThe
mere paikar se jahāñ vāloñ ko Dar kaisā hai
na koī shāḳh na patte na koī gul na shajar
biich āñgan meñ khaḌā hai jo shajar kaisā hai
maiñ isī vāste Duubā ki samajh paao tum
zer-e-sāhil jo bhañvar hai vo bhañvar kaisā hai