Razi Akhtar Shauq

do baadal aapas mein mile the phir aisi barsat hui

Razi Akhtar Shauq

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1933-1999
do bādal aapas meñ mile the phir aisī barsāt huī
jism ne jism se sargoshī kī ruuh kī ruuh se baat huī
do dil the aur ek sā mausam jis kī saḳhāvat aisī thī
maiñ bhī ik barkhā meñ nahāyā vo bhī abr-sifāt huī
us ke haath meñ haath liye aur dhuup chhāñv meñ chaltā huā
yuuñ lagtā thā saarī duniyā jaise mere saath huī
saarī umr surāġh na miltā apne hone na hone kā
ye ik lahr lahū kī jānāñ donoñ kā isbāt huī
is mausam ne jaate jaate ik do pal kī bārish kī
phir vahī halqa paañv meñ aayā phir vahī gardish saath huī
Top Urdushayar.com