Razi Akhtar Shauq

ab safar ho to koi KHwab-numa le jae

Razi Akhtar Shauq

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1933-1999
ab safar ho to koī ḳhvāb-numā le jaa.e
koī aa.e mujhe palkoñ pe uThā le jaa.e
ḳhud meñ jhūmūñ kabhī auroñ ke liye lahrā.ūñ
is se pahle ki havā merā diyā le jaa.e
haa.e vo aañkh ki jo harf sujhātī thī kabhī
ab sar-e-kū-e-ġhazal kaun bulā le jaa.e
us ne chāhā bhī to kis zarf se chāhā mujh ko
jaise siine meñ koī harf-e-duā le jaa.e
zindagī bhar kā safar ho ga.ī chāhat terī
ab jahāñ tak tire qadmoñ kī sadā le jaa.e
dil ko dhaḌkā hai ki sham.eñ hī bujhī thiiñ pahle
ab ke āñdhī mirā ḳhema na uḌā le jaa.e
'shauq' dariyāoñ kā pindār nahīñ tum jaisā
ye jo biphre to bharā shahr bahā le jaa.e
Top Urdushayar.com