Razi Akhtar Shauq

salamat aae hain phir uske kucha-o-dar se

Razi Akhtar Shauq

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1933-1999
salāmat aa.e haiñ phir us ke kūcha-o-dar se
na koī sañg hī aayā na phuul hī barse
maiñ āgahī ke ajab mansaboñ pe faa.ez huuñ
ki aap apnā hī munkir huuñ apne andar se
na jaane kis ko ye e.azāz-e-fan milā hogā
tamām shahr meñ bikhre hue haiñ patthar se
ab is ke mauj-o-talātum meñ Dūbne se na Dar
guhar bhī tujh ko mile the usī samundar se
ye ehtimām-e-charāġhāñ bhī kis kamāl kā hai
diye jale haiñ to maiñ bujh gayā huuñ andar se
ajab samāñ thā ki ab tak haiñ zaḳhm zaḳhm āñkheñ
maiñ kor-chashm bhalā āgahī ke manzar se
Top Urdushayar.com