jis ne banāyā har ā.īna maiñ hī thā
aur phir us meñ apnā tamāsha maiñ hī thā
mere qatl kā jashn manāyā duniyā ne
phir duniyā ne dekhā zinda maiñ hī thā
mahl-sarā ke sab chehroñ ko jāntā huuñ
jis se ga.e the dil tak rāsta maiñ hī thā
dekh liyā zindānoñ kī dīvāroñ ne
un se qad meñ buland-o-bālā maiñ hī thā
maiñ hī nahīñ to kaun se log aur kaise log
kaun sī duniyā sāhab-e-duniyā maiñ hī thā
mulkoñ mulkoñ phir kar ḳhālī haath miyāñ
lauTne vaalā vo shahzāda maiñ hī thā
duniyā tū ne ḳhālī haath mujhe jaanā
zālim terā sab sarmāya maiñ hī thā
merā surāġh lagāne vaale jānte haiñ
jab tak thā maiñ apnā havāla maiñ hī thā