Razi Akhtar Shauq

jaane kya hai jise dekho wahi dil-gir lage

Razi Akhtar Shauq

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1933-1999
jaane kyā hai jise dekho vahī dil-gīr lage
shahr kā shahr hī ab mo'taqid-e-mīr lage
sub.h āshufta-mizājoñ kī pareshāñ-e-suḳhanī
raat ik mār-e-siyah jaise ināñ-gīr lage
ab to jis aañkh ko dekho vahī pathrā.ī huī
ab to jis chehre ko āvāz do tasvīr lage
jaane kis shahr-e-tilismāt meñ aa niklā huuñ
apne qadmoñ kī sadā halqa-e-zanjīr lage
yahī maqdūr-e-masāfat hai ki ḳheme jal jaa.eñ
yahī maqsūm-e-safar hai ki koī tiir lage
zindagī bhar jinheñ jaañ kah ke pukārā gayā 'shauq'
vahī siine se mire sūrat-e-shamshīr lage
Top Urdushayar.com