Razi Akhtar Shauq

kaise is shahr mein rahna hoga

Razi Akhtar Shauq

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1933-1999
kaise is shahr meñ rahnā hogā
haa.e vo shaḳhs ki mujh sā hogā
rañg bikhreñge jo maiñ bikhrūñgā
tū jo bikhregā to zarra hogā
ḳhushk āñkhoñ se isī soch meñ huuñ
abr is baar bhī barsā hogā
ab bhī pahroñ hai yahī soch mujhe
vo mujhe chhoḌ ke tanhā hogā
vo badan ḳhvāb sā lagtā hai mujhe
jo kisī ne bhī na dekhā hogā
ye taġhayyur kī havā hai pyāre
ab jahāñ phuul haiñ sahrā hogā
dekhnā tum ki yahī kunj-e-bahār
phir jo guzroge to suunā hogā
na ye chehre na ye mele hoñge
na koī dost kisī kā hogā
aisā badlegā sitamgar mausam
ḳhuun shāḳhoñ se Tapaktā hogā
na kisī sar meñ mohabbat kā junūñ
na kisī dil meñ ye saudā hogā
husn majbūr tah-e-dām-e-havas
ishq mahrūm-e-nazārā hogā
ham ne ghar apnā jalāyā hai ki 'shauq'
shahr meñ kuchh to ujālā hogā
Top Urdushayar.com