Razi Akhtar Shauq

KHushbu hain to har daur ko mahkaenge hum log

Razi Akhtar Shauq

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1933-1999
ḳhushbū haiñ to har daur ko mahkā.eñge ham log
miTTī haiñ to pal bhar meñ bikhar jā.eñge ham log
ye sho.ala-e-be-mehr to bas aañch hī degā
haañ aur tire husn se kyā pā.eñge ham log
kyā ham se bachoge ki jidhar jā.eñgī nazreñ
is ā.ina-ḳhāne meñ jhalak jā.eñge ham log
kahnā hai ye nā-qadrī-e-arbāb-e-jahāñ se
ik baar jo bikhre to na haath ā.eñge ham log
baiTho ki abhī hai ye ghanī chhāñv mayassar
Dhaltā huā saayā haiñ guzar jā.eñge ham log
ham rūh-e-safar haiñ hameñ nāmoñ se na pahchān
kal aur kisī naam se aa jā.eñge ham log
Top Urdushayar.com