roz ik shaḳhs chalā jaatā hai ḳhvāhish kartā
abhī aa jā.egā bādal koī bārish kartā
ghar se niklā to jahāñ-zād ḳhudā itne the
maiñ anā-zād bhī kis kis kī parastish kartā
ham to har lafz meñ jānāñ tirī tasvīr hue
is tarah kaun sā ā.īna satā.ish kartā
kisī vahshat-zada aaseb kī mānind huuñ maiñ
ik makāñ meñ ka.ī nāmoñ se rihā.ish kartā
ik na ik din to ye dīvār-e-qafas girnī thī
maiñ na kartā to koī aur ye shorish kartā
ab jo tasvīr banā lī to ye dhun aur lagī!
kabhī dekhūñ lab-e-tasvīr ko jumbish kartā
sab añdhere meñ haiñ ik apne makāñ kī ḳhātir
kyā havāoñ se charāġhoñ kī sifārish kartā
aur kyā mujh se tirī kūza-garī chāhtī hai
maiñ yahāñ tak to chalā aayā huuñ gardish kartā
in zamīnoñ hī pe kyā ḳhosha-e-gandum ke liye
āsmānoñ se chalā aayā huuñ sāzish kartā