Razi Akhtar Shauq

bichhaDte waqt to kuchh usMein gham-gusari thi

Razi Akhtar Shauq

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1933-1999
bichhaḌte vaqt to kuchh us meñ ġham-gusārī thī
vo aañkh phir to har ik kaifiyat se aarī thī
na jaane aaj havāoñ kī zad pe kaun aayā
na jaane aaj kī shab kis diye kī baarī thī
zarā sī der ko chamkī to thī ġhanīm kī teġh
savād-e-shahr meñ phir raushnī hamārī thī
safar se lauTe to jaise yaqīñ nahīñ aatā
ki saarī umr isī shahr meñ guzārī thī
harīf teġh se meñ apnī āgahī se laḌā
ye adl vaqt kare kis kī zarb kaarī thī
diloñ ke khel bhī kaise ajiib khel haiñ 'shauq'
ki maiñ udaas thā baazī kisī ne haarī thī
Top Urdushayar.com