shāyad ab rūdād-e-hunar meñ aise baab likhe jā.eñge
sāmne dariyā bahtā hogā log sarāb likhe jā.eñge
aaj to ḳhair añdherī rāteñ aur azaab likhe jā.eñge
ik din apnī galiyoñ meñ bhī kuchh mahtāb likhe jā.eñge
palkeñ yūñhī phuul chuneñgī āñkheñ yūñhī rañg baneñgī
dast-e-duā se dīda-e-nam tak ḳhvāb hī ḳhvāb likhe jā.eñge
nādim āñkheñ soch rahī haiñ kal tārīḳh savāl karegī
itnā qaht-e-mohabbat kyuuñ thā kyā asbāb likhe jā.eñge
yūñhī lahū-luhān nahīñ ham, tum bhī chalo is raah ko dekho
jo kāñTe qadmoñ meñ chubheñge saare gulāb likhe jā.eñge
kabhī kabhī ye dhyān aatā hai apne ba.ad bhī duniyā hogī
lekin kaisī duniyā hogī kaun se baab likhe jā.eñge
roz-e-azal dīvār pe merī bārish ke harfoñ se likhā thā
tere naam likhe jā.eñge jo sailāb likhe jā.eñge