ye daur-e-kam-nazarāñ hai to phir sila kaisā
ye apnā ahd hai is ahd kā gilā kaisā
bahut dinoñ se nahīñ mujh ko iztirāb-e-ġhazal
rukā huā hai ḳhayāloñ kā qāfila kaisā
kahāñ ye shaam kahāñ mere āshnā chehre
simaT rahā hai tasavvur meñ fāsla kaisā
kahāñ ye raat kahāñ terī bū-e-pairāhan
chalā thā aaj ḳhayāloñ kā silsila kaisā
ka.ī charāġh ka.ī sūrateñ ka.ī saa.e
guzar rahā hai na jaane ye qāfila kaisā