vo tamām rañg anā ke the vo umañg saarī lahū se thī
vo jo rabt-zabt guloñ se thā jo duā-salām subū se thī
koī aur baat hī kufr thī koī aur zikr hī shirk thā
jo kisī se vāda-e-dīd thā to tamām shab hī vazū se thī
na kisī ne zaḳhm kī daad dī na kisī ne chāk-e-rafū kiyā
mile ham ko jitne bhī baḳhiya-gar unheñ fikr apne rafū se thī
tire mutriboñ ko ḳhudā rakhe magar ab kahāñ tirī bazm meñ
koī sur jo mere suḳhan meñ thā koī lai jo mere lahū se thī
sar-e-kārzār khaḌe ho 'shauq' to yuuñ hī siina super raho
ki vo log kaun se bach ga.e jinheñ ehtiyāt adū se thī