rañg ab yuuñ tirī tasvīr meñ bhartā jā.ūñ
tujh pe rañg aa.e maiñ jaañ se bhī guzartā jā.ūñ
vo diyā huuñ ki havāoñ se bhī Dartā jā.ūñ
fart-e-pindār se phir raqs bhī kartā jā.ūñ
ajab āshob diyā mere ḳhudā ne mujh ko
ik tamannā-e-masīhā.ī meñ martā jā.ūñ
mujh ko jhuTlātī rahīñ vo mirī munkir āñhkeñ
aur maiñ sūrat-e-ḳhurshīd ubhartā jā.ūñ
mere chehre pe na jaao ki mirā husn hai ye
apne likkhe hue lafzoñ meñ nikhartā jā.ūñ
aisī tanhā.ī kā aalam hai ki har shaḳhs ke paas
ik pazīrā.ī kī hasrat meñ Thahartā jā.ūñ
'shauq' shā.er bhī huuñ andesha-e-jāñ bhī hai mujhe
ruuh meñ shor karūñ lafz meñ Dartā jā.ūñ