Razi Akhtar Shauq

wo shaKH-e-gul ki tarah mausam-e-tarab ki tarah

Razi Akhtar Shauq

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1933-1999
vo shāḳh-e-gul kī tarah mausam-e-tarab kī tarah
maiñ apne dasht meñ tanhā charāġh-e-shab kī tarah
ḳhayāl-o-fikr kī sachchā.iyāñ bhī shāmil haiñ
mire lahū meñ mire shajara-e-nasab kī tarah
vo apnī ḳhalvat-e-jāñ se pukārtā hai mujhe
maiñ chāhtā huuñ use harf-e-zer-e-lab kī tarah
ḳhushā ye daur ki vo bhī hai saath saath mire
mire ḳhayāl kī sūrat mirī talab kī tarah
maiñ apne ahd kī āvāz-e-nā-rasā hī sahī
dhaḌak rahā huuñ diloñ meñ sukūt-e-shab kī tarah
na khil ke ser huā maiñ na jal ke raakh huā
ki merī pyaas bhī hai tere rañg-e-lab kī tarah
Top Urdushayar.com