ham jahāñ naġhma-o-āhañg liye phirte haiñ
log hāthoñ meñ vahāñ sañg liye phirte haiñ
ham hī is ahd kā me.yār-e-taġhayyur hoñge
ham ki har daur meñ sau rañg liye phirte haiñ
kyā ho shorīda-saroñ kī guzar auqāt ki log
dast-e-be-faiz-o-dil-e-tañg liye phirte haiñ
sab tirā husn tire husn-e-sahī-qad meñ nahīñ
ham bhī āñkhoñ meñ ajab rañg liye phirte haiñ
'shauq' dushvār hai ab mo.ajiza-e-fan kī numūd
log ash.ār meñ farhañg liye phirte haiñ