aa.e ham shahr-e-ġhazal meñ to is āġhāz ke saath
muddatoñ raqs kiyā hafiz-e-shīrāz ke saath
avval-e-ishq hai aur ham-safarī kī lazzat
aur āhista qadam aur zarā naaz ke saath
avval avval to dhanak ban ke uḌā vo taa.ir
aur phir rañg badalte ga.e parvāz ke saath
ek vīrān darīche pe ḳhizāñ kī bārish
koī tasvīr banātī rahī āvāz ke saath
maiñ vo sarshār ki thā nashsha-e-yak-ḳhvāb bahut
is ne ta.abīr bhī dī ḳhvāb ke āġhāz ke saath
hai koī vāqif-e-asrār sar-e-mai-ḳhāna
kyā ye miinā se surāhī ne kahā raaz ke saath
ham ne hī dil se ham-āhañg gulū ko rakkhā
log lai apnī badalte rahe har saaz ke saath