vo shāḳh-e-gul ki jo āvāz-e-andalīb bhī thī
huī jo ḳhushk to mere liye salīb bhī thī
dayār-e-sañg meñ sar phoḌtī phirī barsoñ
mirī sadā ki jo is daur kī naqīb bhī thī
jo sham.a duur thī us ne faqat dhuāñ hī diyā
usī kī lau se jalā huuñ jo kuchh qarīb bhī thī
sarisht-e-husn ajab hai ki vasl ke hañgām
nigāh-e-yār meñ kaifiyyat-e-raqīb bhī thī
sakūñ kahāñ ki maiñ āshob-e-fikr rakhtā huuñ
jo mahr thā to tamāzat mirā nasīb bhī thī