safar kaThin hī sahī kyā ajab thā saath us kā
añdherī raat meñ merā diyā thā haath us kā
kuchh aisī niiñd se jaagī ki phir na soī vo aañkh
jalā kiyā yūñhī kājal tamām raat us kā
tamām shab vo sitāroñ se guftugū us kī
tamām shab vo samundar sā iltifāt us kā
kabhī vo rabt ki āñkhoñ meñ jis tarah kājal
kabhī bichhaḌ ke vo milnā ġhazal-sifāt us kā
duā ke haath hī jaise diyā sambhālte haiñ
mohabbatoñ meñ vo uslūb-e-ehtiyāt us kā
maiñ apne ghar ke añdheroñ meñ lauT aayā 'shauq'
pukārtā hī rahā mujh ko shahr-e-zāt us kā