yuuñ to likhne ke liye kyā nahīñ likkhā maiñ ne
phir bhī jitnā tujhe chāhā nahīñ likkhā maiñ ne
ye to ik lahr meñ kuchh rañg jhalak aa.e haiñ
abhī mujh meñ hai jo dariyā nahīñ likkhā maiñ ne
mere har lafz kī vahshat meñ hai ik umr kā ishq
ye koī khel-tamāshā nahīñ likkhā maiñ ne
likhne vaalā maiñ ajab huuñ ki agar koī ḳhayāl
apnī hairat se na niklā nahīñ likkhā maiñ ne
merī nazroñ se jo ik baar na pahuñchā tujh tak
phir vo maktūb dobāra nahīñ likkhā maiñ ne
merī sachchā.ī har ik lafz se lau detī hai
jaise sab likhte haiñ vaisā nahīñ likkhā maiñ ne