halāk-e-kashmakash-e-rā.egāñ bahut se haiñ
ki zindagī hai to kār-e-ziyāñ bahut se haiñ
maiñ is havā meñ bahut der raushnī dūñgā
abhī diye sar-e-mehrāb-e-jāñ bahut se haiñ
use bhī apne sañvarne kā kab ḳhayāl aayā
jab ahl-e-ishq ko kār-e-jahāñ bahut se haiñ
is ek baat pe hairāñ hai vaqt kā munsif
ki is meñ kaun sā sach hai bayāñ bahut se haiñ
ajab ye ḳhitta-e-zinda-dilāñ huā ābād
ki ghar kahīñ bhī nahīñ aur makāñ bahut se haiñ