Razi Akhtar Shauq

jabhi to zaKHm bhi gahra nahin hai

Razi Akhtar Shauq

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1933-1999
jabhī to zaḳhm bhī gahrā nahīñ hai
jo sañg aayā hai vo pahlā nahīñ hai
kabhī chehre the ā.īne nahīñ the
ab ā.īna hai aur chehra nahīñ hai
ye ik shā.er ki jis ko 'shauq' kahte
kabhī ik haal meñ rahtā nahīñ hai
kabhī har lafz e.ajāz-e-masīhā!
kabhī yuuñ jaise kuchh kahnā nahīñ hai
kabhī āñkheñ samundar sī saḳhī haiñ
kabhī dariyā meñ ik qatra nahīñ hai
bahut haiñ us kī darveshī ke charche
magar darvesh bhī aisā nahīñ hai
na raas aayā to ye bhī chhoḌ deñge
tirā darvāza hai duniyā nahīñ hai
Top Urdushayar.com