phir jo dekhā duur tak ik ḳhāmushī paa.ī ga.ī
maiñ to samjhā thā ki ik merī hī goyā.ī ga.ī
phir vahī bādal ki jī uḌne ko chāhe jin ke saath
phir vahī mausam ki jab zanjīr pahnā.ī ga.ī
phir vahī taa.ir vahī un kī ġhazal-ḳhvānī ke din
phir vahī rut jis meñ merī naġhma-pairā.ī ga.ī
kuchh to hai āḳhir jo saarā shahr tārīkī meñ hai
yā mirā sūraj gayā yā merī bīnā.ī ga.ī
tham ga.e sab sañg sab shor-e-malāmat ruk gayā
maiñ hī kyā jī se gayā saarī saf-ārā.ī ga.ī
pūchhtī hai dastakeñ de de ke shorīda havā
kis kā ḳhema thā ki jis meñ raushnī paa.ī ga.ī