chheḌ ke sāz-e-zargarī ḳhalq-e-ḳhudā hai raqs meñ
yuuñ ki tamām shahr hī Duub chalā hai raqs meñ
ye jo nasha hai raqs kā ik mirī zaat tak nahīñ
kūza-ba-kūza gil-ba-gil saath ḳhudā hai raqs meñ
koī kisī se kyā kahe koī kisī kī kyuuñ sune!
sab kī nazar hai taal par sab kī anā hai raqs meñ
husn kī apnī ik numū ishq kī apnī hāo-hū
ek havā hai rañg meñ ek havā hai raqs meñ
kaun ye kah ke chal diyā ho tirī bastiyoñ kī ḳhair
aaj havā bhī tez hai aur diyā hai raqs meñ
koī savād-e-vaqt par koī surūd-e-zāt tak
paañv hai sab kā ek sā phir bhī judā hai raqs meñ
burj-e-shahī se dekhnā aise fishār-e-vaqt meñ
ḳhāk-ba-sar ġhazal-ba-lab kaun gadā hai raqs meñ