Razi Akhtar Shauq

kaise kaTe qasida-go harf-garon ke darmiyan

Razi Akhtar Shauq

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1933-1999
kaise kaTe qasīda-go harf-garoñ ke darmiyāñ
koī to sar-kashīda ho itne saroñ ke darmiyāñ
ek to shaam rañg rañg phir mire ḳhvāb rañg rañg
aag sī hai lagī huī mere paroñ ke darmiyāñ
haath liye haiñ haath meñ phir bhī nazar hai ghaat meñ
ham-safaroñ kī ḳhair ho ham-safaroñ ke darmiyāñ
ab jo chale to ye khulā shahr kushāda ho gayā
baḌh ga.e aur fāsle ghar se gharoñ ke darmiyāñ
kaise uḌuuñ maiñ kyā uḌuuñ jab koī kashmakash sī ho
mere hī bāzuoñ meñ aur mere paroñ ke darmiyāñ
jām-e-sifāl-o-jām-e-jam kuchh bhī to ham na ban sake
aur bikhar bikhar ga.e kūza-garoñ ke darmiyāñ
jaise luTā thā 'shauq' meñ yūñhī matā-e-fan luTī
ahl-e-nazar ke sāmne dīda-varoñ ke darmiyāñ
Top Urdushayar.com