kabhī ḳhurshīd-e-ziyā-bār huuñ maiñ
kabhī saaya pas-e-dīvār huuñ maiñ
ye jo kuchh rañg mirī zaat meñ haiñ
kaun samjhegā ki dushvār huuñ maiñ
nā-rasīda hai abhī merī mahak
shāḳh-e-nau-ḳhez digar ambār huuñ maiñ
hai koī naaz uThāne vaalā
ek TuuTā huā pindār huuñ maiñ
log yuuñ bach ke guzar jaate haiñ
jaise girtī huī dīvār huuñ maiñ
maiñ ne maanā ki bahut talḳh huuñ 'shauq'
apnā pairāya-e-iz.hār huuñ maiñ