Razi Akhtar Shauq

wo jang maine mahaz-e-ana pe haari hai

Razi Akhtar Shauq

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1933-1999
vo jañg maiñ ne mahāz-e-anā pe haarī hai
lahū meñ aaj qayāmat kī barf-bārī hai
machā huā hai badan meñ lahū kā vāvailā
kahīñ se koī kumak laao zahr kaarī hai
ye dil hai yā kisī āfat-rasīda shahr kī raat
ki jitnā shor thā utnā sukūt taarī hai
sadāqateñ haiñ ajab ishq ke qabīle kii!
usī se jañg bhī Thahrī hai jis se yaarī hai
vo saath thā to sabhī rāste usī ke the
bichhaḌ gayā hai to har rahguzar hamārī hai
Top Urdushayar.com