maiñ jab bhī qatl ho kar dekhtā huuñ
to apnoñ hī kā lashkar dekhtā huuñ
maiñ duniyā apne andar dekhtā huuñ
yahīñ pe saarā manzar dekhtā huuñ
kabhī tasvīr kar detā huuñ us ko
kabhī tasvīr ban kar dekhtā huuñ
mujhe is jurm meñ andhā kiyā hai
ki bīnā.ī se baḌh kar dekhtā huuñ
nashāt-e-dīd thā āñkhoñ kā jaanā
ki ab pahle se behtar dekhtā huuñ
vo manzar jo nazar aatā hai ḳhālī
ḳhud apne rañg bhar kar dekhtā huuñ
vo chehra haa.e vo chehra vo chehra
jise ḳhud se bhī chhup kar dekhtā huuñ