ai sub.h-e-umīd der kyā hai
ab kitne diyoñ kā fāsla hai
ab kitnī hai der raushnī meñ
ab kitnī shaboñ kā marhala hai
ham hijr kī raat ke musāfir
is dasht se ham ko kyā milā hai
vo ḳhvāb to jal-bujhe haiñ saare
vo ḳhema to raakh ho chalā hai
ab kaise charāġh kyā charāġhāñ
jab saarā vajūd jal rahā hai
bāhar bhī vahī fazā hai saarī
indar bhī mire vahī ḳhalā hai
ik dil hai aur itnī qatl-gāheñ
jo raah chalo vo karbalā hai
vo daur hai ye ki sunñe vaalā
har lafz ko chhū ke dekhtā hai
itne jo azaab utar rahe haiñ
is shahr ko kis kī bad-duā hai