Razi Akhtar Shauq

jis pal maine ghar ki imarat KHwab-asar banai thi

Razi Akhtar Shauq

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1933-1999
jis pal maiñ ne ghar kī imārat ḳhvāb-āsār banā.ī thī
us lamhe vīrānī ne bhī ik raftār banā.ī thī
ham ne hī mahr ko zahr se badlā varna zamīñ kī gardish ne
din ġham-ḳhvār banāyā thā aur shab dildār banā.ī thī
TuuTe dil palkoñ se sambhāleñ ab aise fankār kahāñ
varna ye duniyā jab ujḌī thī sau sau baar banā.ī thī
apnī raah ke saare kāñTe maiñ ne aap hī bo.e the
varna ḳhvāb-e-azal ne duniyā kam-āzār banā.ī thī
kūcha kūcha mātam hogā galiyoñ galiyoñ vāvailā
is par pahle kyuuñ nahīñ sochā jab dastār banā.ī thī
kab tak ek hī manzar chunte apnī anā ke zindānī
aaj usī meñ dar māñgeñ haiñ jo dīvār banā.ī thī
Top Urdushayar.com