merī taḳhlīq huī jis kī tag-o-tāz ke saath
vahī zarra mujhe taktā hai baḌe naaz ke saath
jurm ke ba.ad khulā dil pe dar-e-ḳhauf-e-sazā
zehan bedār huā subah ke āġhāz ke saath
maiñ ne bhī toḌ diyā ḳhaak kī ḳhushbū kā tilism
kho gayā maiñ bhī ḳhalāoñ meñ baḌe raaz ke saath
phir mirī raah meñ haa.il hai vahī koh-e-sukūt
maiñ ne kaaTā thā jise tesha-e-āvāz ke saath
DhūñDhtī phirtī hai kirdār ko tamsīl-e-gunah
rat-jage ḳhatm hue 'ḳhālid'-e-shīrāz ke saath