kahtī huī ye mujh se havā-e-sahar ga.ī
dasht-e-talab meñ shabnam-e-ehsās mar ga.ī
rakkhā na thā qadam abhī dasht-e-sukūt meñ
āvāz merī apne hī saa.e se Dar ga.ī
maiñ us kā nauha ban ke añdhere meñ ghul gayā
vo ik kiran jo mere liye dar-ba-dar ga.ī
maiñ likh rahā thā phuul kī pattī pe terā naam
kāñTe kī nok sīna-e-gul meñ utar ga.ī
mahfil meñ raat nit-na.e chehroñ ke shor meñ
vo kaun thā ki jis se lipaTne nazar ga.ī
jis se thī ābrū-e-talātum vo mauj bhī
'ḳhālid' kanār-e-ḳhāk pe sar rakh ke mar ga.ī