pukārā nit-na.e mehvar badalne vāloñ ne
palaT ke dekhā na lekin sambhalne vāloñ ne
kiyā na ek bhī pal ke liye qayām kahīñ
zamīñ kī ḳhaak pe sadiyoñ se chalne vāloñ ne
nazar se aa.ī sadā-e-shikast-e-ḳhvāhish-e-qurb
baḌhā.e haath agar haath malne vāloñ ne
qubūl kar liyā har dā.ere kī dāvat ko
hisār-e-jabr se bāhar nikalne vāloñ ne
mire vajūd ke ḳhurshīd kī shuāoñ ko
sulā diyā hai añdheroñ meñ jalne vāloñ ne
vo ḳhauf kyā thā ki jis ke nuzūl par 'ḳhālid'
kahā na kuchh bhī bahut kuchh ugalne vāloñ ne