Khalid Shirazi

nahin zarur ki takmil-e-muddaa dekhen

Khalid Shirazi

nahīñ zarūr ki takmīl-e-mudda.ā dekheñ
magar hai jī meñ ki ḳhūn-e-jigar bahā dekheñ
nuqūsh-e-pā jo hue jā rahe haiñ gard unheñ
thakāvatoñ se sharābor log kyā dekheñ
ye kyā safar hai ki sīdhe-sapāT raste haiñ
kabhī to ham koī pur-pech rāsta dekheñ
fasīl-e-shab se udhar de rahā ho koī sadā
hisār-e-ḳhvāb meñ lekin mujhe ghirā dekheñ
fazā meñ tair rahe hoñ hare-bhare chehre
ḳhud apne chehre ko lekin bujhā huā dekheñ
safar meñ shal hue jaate huuñ dhuup ke paañv
ufuq kī aañkh se bahtī huī hinā dekheñ
tulū-e-mahr se pahle bas ek pal ke liye
kisī diye kī tarah ham bhī jhilmilā dekheñ
ye din bhī 'ḳhālid'-e-shīrāz dekhne the hameñ
nazar uThā.eñ to patjhaḌ kā silsila dekheñ
Top Urdushayar.com