Khalid Shirazi

aankh ki zid ko hamesha hi se bahlaya gaya

Khalid Shirazi

aañkh kī zid ko hamesha hī se bahlāyā gayā
ek chehre ko ka.ī chehroñ meñ dikhlāyā gayā
mere paañv nit na.e rastoñ se the kab āshnā
sadiyoñ pahle thā jahāñ mujh ko vahīñ paayā gayā
phir huī bedār ḳhvāhish aañkh meñ aa.ī chamak
phir kisī ko dhuup sā malbūs pahnāyā gayā
sunñe vāloñ ne to dekhā bhī nahīñ thā chauñk kar
raaz siine se nikal ke hoñT par aayā gayā
is qadar thā sañg-dil jaise kisī qātil kā dil
mujh se vo māhaul ai 'ḳhālid' na apnāyā gayā
Top Urdushayar.com