khil uThe phuul mahak mujh ko havā se aa.ī
abr ke ruup meñ bilqīs sabā se aa.ī
kaan ke saath khulī aañkh kī putlī lekin
koī tasvīr ubhar ke na sadā se aa.ī
reg-e-sāhil kī tab-o-tāb kī dushman Thahrī
lahr jo bhī pas-e-dīvār-e-havā se aa.ī
dā.imī kar liyā us ko ki sar-e-arsa-e-shab
dil ko jo sā.at-e-ġham dene dilāse aa.ī
jo tamannā kabhī aa.ī na thī lab par 'ḳhālid'
aaj ḳhuuñ ho ke rahī dīda-e-vā se aa.ī