suno ḳhāmosh hī hastī mirī tum se judā hogī
ki ab har ik fariyād-e-ināyat be-navā hogī
kisī fard-e-mohabbat se bhalā ummīd kyā rakhnā
mohabbat bevafā thī bevafā hai bevafā hogī
purāne kāġhazoñ pe darj merī shā.irī shāyad
kisī majrūh dil ke zaḳhm kī maa.il ridā hogī
karoge zulm kab tak mashvara hai baaz aa jaao
bahut pachhtāoge tum zulm kī gar intihā hogī
tajassus chhoḌ de tum qais-o-lailā sī mohabbat kā
kī daur-e-nau kī har tamsīl-e-ulfat bevafā hogī