Faisal Fehmi

kyun aasman-e-hijr ke tare chale gae

Faisal Fehmi

Jammu and Kashmir, India

kyuuñ āsmān-e-hijr ke taare chale ga.e
ab kyā huā jo ḳhvāb tumhāre chale ga.e
saaqī ke dar pe aaj baġhāvat ke shor meñ
ham jaam jaam jaam pukāre chale ga.e
rūThā huā hai chāñd bahut āftāb se
aur chāñdnī ko DhūñDne taare chale ga.e
is dast-e-iḳhtiyār meñ ik jaan hī to thī
ham tum pe apnī jaan ko vaare chale ga.e
be-mehr zindagī kā guzārā na ho sakā
ham baar baar ishq meñ haare chale ga.e
Top Urdushayar.com