chuTkiyāñ letī hai goyā.ī kise āvāz duuñ
kis ko hai taufīq-e-shunvā.ī kise āvāz duuñ
sar meñ saudā hai na dil meñ aarzū kis se kahūñ
jalvateñ māñge hai tanhā.ī kise āvāz duuñ
apnī nazroñ meñ to merā zo.am-e-hastī laġhv hai
kis se pūchhūñ apnī sachchā.ī kise āvāz duuñ
bech dūñgā maiñ zamīr apnā agar taskīñ mile
ai musalsal rūh-farsā.ī ke āvāz duuñ
merī hasrat koī pūchhe mujh se merā hāl-e-dil
log apne apne shaidā.ī kise āvāz duuñ
āzmā.ish kā ye pahlū bhī hai kyā ma.alūm thā
kāmrānī kī ghaḌī aa.ī kise āvāz duuñ
kis ke naam āḳhir karūñ 'hairat' maiñ apnī vahshateñ
muntazir hai dasht-paimā.ī kise āvāz duuñ