ḳhush bahut thā ek lamha shādmānī dekh kar
ġham huā mujh ko yuuñ ġham kī tarjumānī dekh kar
jo guzartī jā rahī hai naam us kā umr hai
zindagī hairān hai is kī ravānī dekh kar
haa.e is sayyād ne dīvār rañvā dī ajiib
uḌ rahe haiñ saare panchhī āsmānī dekh kar
jugnuoñ ne aaj dāvat par bulāyā chāñd ko
chāñd shab bhar TimTimāyā mezbānī dekh kar
āñkheñ merī thiiñ labālab gard kā pahra thā yaañ
vo ye samjhā dhokā hai sahrā meñ paanī dekh kar
kyā maza gar ishq meñ thoḌī bahut duurī na ho
us ne ḳhud se ye kahā merī nishānī dekh kar
ek to dil shā.irāna aur phir majrūh bhī
chain mujh ko aa.egā bas bāġhbānī dekh kar
muTThiyoñ meñ ḳhaak le kar aa ga.e haiñ sab ke sab
kar do mujh ko dafn merī be-makānī dekh kar
vo mohabbat ke ma.ānī bas batātā hī rahā
ishq phir jaatā rahā dasht-e-ma.ānī dekh kar
raaz thoḌe aao kholeñ us ḳhudā ke muntazir
is zamīñ par āsmāñ kī hukmarānī dekh kar