Muntazir Firozabadi

teri nigah-e-naz ke bismil na honge hum

Muntazir Firozabadi

Firozabad, Uttar pradesh, India

1990
terī nigāh-e-nāz ke bismil na hoñge ham
har rañg har fazā meñ to shāmil na hoñge ham
ik bevafā se ham ne yahāñ tak kahā kabhī
chāhegā gar ḳhudā bhī to hāsil na hoñge ham
tanqīd karne vāloñ pe hañsnā paḌā hameñ
mushkil vo chāhte hameñ mushkil na hoñge ham
sāhil pe jaane vaale kabhī lauTte nahīñ
dhoke se bhī kabhī koī sāhil na hoñge ham
ham ko hai ishq us se jo hai 'jaun-elia'
ya.anī ki aap ke koī qābil na hoñge ham
ham ne to apne jism meñ ik dil ko maarā hai
kyā phir bhī sochte ho ki qātil na hoñge ham
maanā sharāb piite haiñ to kyā huā miyāñ
ya.anī ki aap kahte haiñ fāzil na hoñge ham
Top Urdushayar.com