Muntazir Firozabadi

jo mujhse dur jaana chahta tha

Muntazir Firozabadi

Firozabad, Uttar pradesh, India

1990
jo mujh se duur jaanā chāhtā thā
vo mere saath hī pakḌā gayā thā
maiñ apnī muTThiyoñ meñ qaid thā yā
mujhe aisā kisī ne kar diyā thā
mirī āñkheñ to maiñ ne noch liiñ thiiñ
mujhe phir bhī kisī ne paḌh liyā thā
bichhaḌte vaqt bhī dil kuchh na bolā
ye pāgal zabt kar ke rah gayā thā
thā us se ishq kā iz.hār karnā
mujhe kuchh aur hī kahnā paḌā thā
use mujh se rihā.ī chāhiye thī
maiñ apnī laash par baiThā huā thā
kahā donoñ ne ik duuje ko behtar
bas us ke ba.ad jhagḌā ho gayā thā
jahāñ ke tabsire se tañg aa kar
bahut nuqsān ham ne kar liyā thā
sitāre baḌh rahe the merī jānib
magar vo chāñd kyuuñ Thahrā huā thā
mire yaaro tumhārī hī badaulat
safar jaarī huā hai, ruk gayā thā
kabhī āvāz dī thī 'muntazir' ko
maiñ apne aap se Takrā gayā thā
Top Urdushayar.com