Muzaffar Ahmad Muzaffar

KHud tamasha ban gai chashm-e-tamashai ki bas

Muzaffar Ahmad Muzaffar

Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1969
ḳhud tamāsha ban ga.ī chashm-e-tamāshā.ī ki bas
sañg-e-dar par aaj kī hai vo jabīñ-sā.ī ki bas
toḌ Daalā maiñ ne āḳhir us kā kaj-aks aa.ina
varna vo yuuñ thā ajab mahv-e-tamāshā.ī ki bas
aisā lagtā hai ki bazm-e-nāz meñ tanhā huuñ maiñ
chashm-e-bīnā ho to hai vo bazm-ārā.ī ki bas
zarre zarre kī zabāñ par naġhma-e-jāñ-soz hai
dasht-zār-e-ġham ne aisī ḳhaak chhanvā.ī ki bas
ajnabī lagne lagā hai sub.h-e-ḳhandāñ kā jamāl
yuuñ huī ruḳhsat mirī āñkhoñ kī bīnā.ī ki bas
duur se jab sāhil-e-ummīd-o-yās aayā nazar
daf.atan ik mauj kashtī se vo Takrā.ī ki bas
is qadar haibat-zada thā ahd-e-tark-e-dostī
avval avval to tabī.at aisī ghabrā.ī ki bas
tā.er-e-sidra bhī ḳhā.if thā mirī parvāz se
aa ke manzil ke qarīb ik choT vo khaa.ī ki bas
aaj tak ubhrī nahīñ hai kashti-e-umr-e-ravāñ
āb-jū-e-dard meñ thī aisī gahrā.ī ki bas
maiñ ki ḳhvāb-e-nāz meñ āsūda shab hone ko thā
sūr-e-isrāfīl kī aisī sadā aa.ī ki bas
rafta rafta jal ke ḳhākistar huī aqlīm-jāñ
chhaT ga.e bādal magar phir dhuup vo chhā.ī ki bas
uqda-e-hairat 'muzaffar' jis ghaḌī khulne ko thā
zindagī ne kaan meñ vo baat batlā.ī ki bas
Top Urdushayar.com