Muzaffar Ahmad Muzaffar

koi mahrum-e-mohabbat na raha mere baad

Muzaffar Ahmad Muzaffar

Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1969
koī mahrūm-e-mohabbat na rahā mere ba.ad
rañg laa.ī mirī tāsīr-e-duā mere ba.ad
aaj iisā kī tarah daar pe khīñche hai mujhe
mujh pe ro.egī ye maḳhlūq-e-ḳhudā mere ba.ad
mere miTne se hue goyā qafas se āzād
na rahā koī giraftār-e-balā mere ba.ad
aisī rūThī hai mashiyyat se tirī rabb-e-karīm
phir chaman meñ na ga.ī bād-e-sabā mere ba.ad
fātiha ke liye aayā thā vo hamrāh raqīb
ḳhuub dī us ne mohabbat kī sazā mere ba.ad
sub.h-dam aatī hai is soḳhta-sāmānī meñ
baaġh se nāla-e-bulbul kī sadā mere ba.ad
merī jānib se koī jā ke kahe majnūñ se
ḳhāk-e-sahrā-e-tamannā na uḌā mere ba.ad
us ne ahbāb se pūchhā hai mire ghar kā pata
yaad aayā use paimān-e-vafā mere ba.ad
vo jo likkhā thā kabhī ḳhūn-e-jigar se maiñ ne
miTtā jaatā hai vahī naqsh-e-vafā mere ba.ad
tujh pe ilzām-e-mohabbat na lagā de duniyā
aa ke turbat pe yuuñ aañsū na bahā mere ba.ad
rañj to ye hai 'muzaffar' ki vo paimān-shikan
lab pe laayā na kabhī harf-e-duā mere ba.ad
Top Urdushayar.com