mohabbat dil pe kartī hai asar āhista āhista
marīz-e-ġham ko hotī hai ḳhabar āhista āhista
ḳhudā ab jaane kyā anjām ho is sajda-rezī kā
ghisā jaatā hai terā sañg-e-dar āhista āhista
junūn-e-ishq le aayā hai āḳhir dasht-e-ġhurbat meñ
muqaddar ban ga.ī gard-e-safar āhista āhista
kiyā hai jumbish-e-lab ne mujhe behāl kuchh aisā
maiñ yuuñ to saañs letā huuñ magar āhista āhista
ubhar aa.egā apne vasl kā ḳhurshīd bhī ik din
magar hogī shab-e-ġham muḳhtasar āhista āhista
bachā.ūñ kis tarah kachche makāñ ko tez bārish meñ
gire jaate haiñ sab dīvār-o-dar āhista āhista
nahīñ martā yakāyak be-irāda nāznīnoñ par
chhiḌaktā huuñ maiñ jaañ un par magar āhista āhista
kisī ke duur rahne se mohabbat kam nahīñ hotī
magar barbād hotā hai jigar āhista āhista
ġhazab hai bazm meñ terā ye kaif-añgez nazzāra
huā jaatā huuñ ḳhud se be-ḳhabar āhista āhista
mujhe karne lagā hai ḳhānamāñ-barbād ġham terā
vatan meñ ho gayā huuñ dar-ba-dar āhista āhista
umañD aa.ī hai kyuuñ tārīk shab atrāf-e-ālam par
kahāñ gum ho ga.e shams-o-qamar āhista āhista
'muzaffar' raaz poshīda rahegā kaise mahfil meñ
lahū Tapkā rahī hai chashm-e-tar āhista āhista