bār-e-ḳhātir huī ye umr-e-gurezāñ jānāñ
tujh ko samjhā thā ġham-e-hijr kā darmāñ jānāñ
aa batā.ūñ tujhe āshob-e-tamannā kyā hai
kaise kaTtī hai ye tār-e-shab-e-hijrāñ jānāñ
maiñ ne har ġham ko ġham-e-ishq se ta.abīr kiyā
ġham-e-jāñ ho yā balā se ġham-e-daurāñ jānāñ
koī dekhe mirī āñkhoñ se asīrī kā fusūñ
ghar huā jaatā hai ik halqa-e-zindāñ jānāñ
ek bhī tīr-e-nazar terā ḳhatā jaatā nahīñ
sab hue jaate haiñ paivast-e-rag-e-jāñ jānāñ
ḳhud-kushī hai yā ye izhār-e-ġham-e-furqat hai
ḳhud se hone lagā huuñ dast-o-garebāñ jānāñ
umr-bhar ġhuncha-e-hastī na shagufta dekhā
ham ne jaise bhī basar kī tirā ehsāñ jānāñ
kunj-e-ġhurbat meñ 'muzaffar' ne ġhanīmat samjhā
jis qadar bhī vo huā be-sar-o-sāmāñ jānāñ