sharīk-e-rasm-e-girya haiñ samundar-āshnā āñkheñ
jahān-e-ārzū meñ kar na deñ mahshar bapā āñkheñ
ye patthar kī na ho jaa.eñ kahīñ aqlīm-e-hastī meñ
rakhe mahfūz āshob-e-tamannā se ḳhudā āñkheñ
tumhāre va.ada-e-shab kā yaqīñ aatā nahīñ un ko
rahīn-e-fitna-e-ġham haiñ sukūñ nā-āshnā āñkheñ
hisār-e-dasht-e-vahshat meñ bagūloñ ke ishāroñ par
hathelī par liye phirtī hai muddat se havā āñkheñ
fasīl-e-shahr-e-tārīkī se jaane kab rihā.ī ho
asīr-e-qariyā-e-shab haiñ mirī sīmāb-pā āñkheñ
tumhārī shān-e-yaktā.ī hai aalam dil-farebī kā
vagarna dekhtī haiñ yuuñ pas-e-manzar meñ kyā āñkheñ
harīm-e-nāz meñ terā na gar jalva dikhā.ī de
to behtar hai rah-e-ulfat meñ ho jaa.eñ fanā āñkheñ
huī muddat nigāhoñ se chhuā thā marmarīñ chehra
tilism-e-ḳhvāb se ab tak na ho pā.īñ rihā āñkheñ
'muzaffar' zindagī meñ farz to ik baar thā lekin
tavāf-e-ka.aba-e-dil kar chukī haiñ bārhā āñkheñ